शुक्रवार, 9 अक्टूबर 2015

Ek Kustha (Psoriasis ) rog

iss rog k jyadatar ptnts female hote hai .. iska koi nischit karan mujhe pata nahi hai lekin mere pas ane wale ptnts me se lagbhag 80 % ptnts females hi hote h.. shayad females ise starting me ignore karte hai.. ya jyada virudh ahar-vihar ka sevan karte hai jiske karan ye rog females me jyada hota h.
ye rog mukhyata kapha dosh ki vradhi k karan hota h jisme pitta ka anubandh hota h. iss rog me yadi sambhav ho sake to sabse pehle rogi ka sansodhan karm karna chahiye...
Mahatikt Ghrat / Panchtikt Ghrat se snehan karane k bad Vaman dene se accha labh milta hai....Skin par lep hetu Multani Mitti 10 part, triphala Churn 3 part, neem churn 1 part, khadir churn 1 part ko mix kar k banaya hua lep rogi ko pratidin lagane k liye dena chahiye... yadi sambhav ho sake to lep k bad rogi kam se kam 1 hr tak baithe aur uske bad mradu swedan karna chahiye. skin par kisi bhi tarah k chemical soap ya shampoo ka use nahi karna chahiye.. uprokt lepa ka pryog hitkar hai . uprokt churn ko soap k form me bana kar k use karna accha h.
yadi is rog ka rogi madhumeh se grast na ho to usko subh khali pet Anjir ya munakka jinko night me bhigokar subh khali pet khane k liye dena hitkar h.
yadi is rog k rogi ko kosthbadhta (Constipation ) ho to use Avipattikar churn ya Amaltas k gude ko 2 tsf lekar 1 glas pani me boil kar k 1/2 hone k bad filter karke normal temperature par hone par ptnt ko evng. me pine ko den. Kosthbadhta k liye bhut hitkar h.
Ek kustha rog ka samanya Ausadh Vyavastha Patra...
Kaisor Guggul 2 tab, Panchtikta Ghrit Guggul 2 tab, Haridra Khand 1 gram, Amrta Satva 250 mg, Chop chinyadi churn 500 mg, Ras manikya 125 mg, Swarn makshik bhasm 500 mg, Arogya vardhani vati 1 tab .
uprokt ausadhiyo ki ek matra ko Khadira risht, Mahamanjisthadi kwath/ Sarivadh Asav dono ki 3-3 tsf ki matra ke anupan k sath den.
sath me Aswgandha churn 2 gram ya Dabur Co. ka Stress com cap 1 BD, jarur den.
iss ausadh vyavastha patra ki matra Adult ptnts ke anusar hai..
vidwan chikitsak ptnt ki Vaya evam sthiti k anusar matra ka nirdharan karen.
is ausadh vyavastha patra me Swarn makshik isliye diya hai kuki Dhootpapeswar co. ne apne yaha ek research ki h jisme unhone paya hai ki skin ke vikaro me iska pryog karne se bhut jald hi twacha k vran, kandu etc. ka saman hota h.
Aswgandha ya Dabur ke stress com cap ko isliye diya hai kuki
adhunik chikitsa me hui research k anusar gambheer twak vikaro se grast rogi mansik tanav me rehte hai. isliye aise ptnts ko yadi mansik roop se swasth rakha jaye ya unke tanav ko door karne k liye alprazolam etc. tab di jaye to skin ptnts jaldi sahi hote h.
jabki iske viprit yadi aap Dravya Guna ki book me Aswgandha ko padhenge to aap dekhenge ki hamare prachin vidwano ne Aswgandha k slok me clear likha hai ki Twak vikar se pidit rogiyo ko Aswgandha dene se labh milta h. hamare prachin vidwan bhi aswgandha isliye hi dete the kuki skin k ptnts heen bhavna se grast hote hai.. aswgandha dene se unko tanav se aram milta h.
is rog me pathya- Anjir, munnaka, Light Diet- Lauki, turai, Kaddu, parval, moong ki dal, liquid diet etc. laghu ahar dena hitkar h.
apathya-Spicy food, Maida, besan se bane padarth, tali-bhuni cheeje, Butter, Baigan, Arbi, bhindi, arahar, udad ki dal, cold drinks , anya garisth ahar nahi dene chahiye.
iss rog me skin ko kabhi dry na rehne de Mahamarichyadi tail ka lep karte rahen ya rat me sote samay is tail ka pryog jarur karen,
baki samay Coconut oil me karpoor ko milakar rogi ko lagate rehne k liye kahen.

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें